Berukhi

Teri berukhi kuch iss tarah huyi meri taraf,
Ek pal main main tujh se judaa ho gaya,
Ruthi tu mujhse aur ruthi ye muskan,
Laga jaise ki khuda mujhse khafa ho gaya...

Pahle bhi sabdo ka jaal buna karta tha main,
Ab wahi sirf dard e bayaan ho gaya,
Tu dekhkar meri kavita ko muh mod leti hai,
Bata toh de ki mujhse kaunsa gunaah ho gaya...

Aaj bhi tere ek lafz ka intzaar mujhe rahta hai,
Raat ki neend aur din ka chain kaha kho gaya,
Pahle jo karte the hum raat bhar guftagu,
Meri kismat se woh samay gum kaha ho gaya...

Tu nazarandaaz kar deti hai ab shayad,
Per main aaj bhi teri samiksha ka mohtaaz hu,
Mujhe kal bhi tujhse mohabbat thi aur kal bhi rahegi,
Haan lekin teri zindagi ka maksad mujhse judaa ho gaya.....

Comments

  1. Waaahhh...�� Bdw kon h ye Mohtarma jo itti berukhipan dikha Rae h.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Nobody... These are feelings of everyone when someone you love ignores you and i portrayed them into words... something for you...

      Apni musibat ka dhindhora kya peete janab,
      Hum toh wahi llikhte hai jo dil main aata hai...

      Delete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Love

Meri Khwahish

उलझन