Khuda ke saamne bhi na jhukaya itna sir humne,
Rab se tumhare pyaar ki utni ibadat kar li,
Tum kahte rahe ki tumhe nafrat hai humse,
Aur tumhare inhi alfazo se humne mohabbat kar li...
Pyaar agar dil ki dhadkan hai sanam, Toh uski khushi main ye dil toot jaaye, Bhale uski khushi ho mujhse door rahne main, Per jo nikle aashu uske toh ye dhadkan rooth jaaye... Main ye toh nahi kahta ki ji lunga uske bina, Na rounga toh na hasunga main uske bina, Per jab bhi jaunga main ye duniya chhodkar, Toh na jaunga apni yaadon main uske bina... Usne mujhse pucha tha ek din bade pyaar se, Mujhse itna pyaar kyun karte ho tum, Main bs itna kah paaya uski aankho main dekhkar, Ji toh leta hu main per tere bina saasain nahi aati....
Cheekhna chahta hu, chillana chahta hu, ro ro kar apna dard batana chahta hu, main ye khalipan batau toh bhi kisko, main kahi door nikal jaana chahta hu... main nahi janta ki main kya hu kyun hu, bas ab ye sab main rokna chahta hu, nahi jeena mujhe iss tarah iss zindagi ko, e zindagi main tujhse ruthna chahta hu... mere apno ko hai duniya ki hai parwah, per main apni sirf jagah chahta hu, kya karunga iss duniya ki bheed main kho kar, main aazad panchi ki tarah udna chahta hu... darta hu ki kahi ye duniya mere par na kaat de, sabki aankhon se auzhal hona chahta hu, darta hu har waqt khud ko galat saabit karwane se, ek din main sabki bad duao se bachna chahta hu... haan main thak gaya hu kahte kahte, ab bs yahi ruk jaana chahta hu, kya hai ye zindagi aur kyun hai ye zindagi, uss khuda se yahi puchna chahta hu... mere apne hi mujhe nahi samajhte, main toh bas yaha unka pyaar chahta hu, per jo mile woh mere usulo to todkar, toh haan main door jaana chahta hu...
चाहता हूं की तुझसे करू गुफ्तगू मै, पर कुछ हद़े है और कुछ मज़बूरी। डर तुझसे नही जमाने से लगता है, कैसे करू ये दूरियां मै अब पूरी।। अभी अभी तो मिला हूं तुझसे मै, फिर भी ना जाने क्यूं चुभने लगी ये दूरी। कुछ तो कशिश है की तेरी और चला मै, बस ना रह जाए कुछ बातें यू अधूरी।।
Comments
Post a Comment