Cheekhna chahta hu, chillana chahta hu, ro ro kar apna dard batana chahta hu, main ye khalipan batau toh bhi kisko, main kahi door nikal jaana chahta hu... main nahi janta ki main kya hu kyun hu, bas ab ye sab main rokna chahta hu, nahi jeena mujhe iss tarah iss zindagi ko, e zindagi main tujhse ruthna chahta hu... mere apno ko hai duniya ki hai parwah, per main apni sirf jagah chahta hu, kya karunga iss duniya ki bheed main kho kar, main aazad panchi ki tarah udna chahta hu... darta hu ki kahi ye duniya mere par na kaat de, sabki aankhon se auzhal hona chahta hu, darta hu har waqt khud ko galat saabit karwane se, ek din main sabki bad duao se bachna chahta hu... haan main thak gaya hu kahte kahte, ab bs yahi ruk jaana chahta hu, kya hai ye zindagi aur kyun hai ye zindagi, uss khuda se yahi puchna chahta hu... mere apne hi mujhe nahi samajhte, main toh bas yaha unka pyaar chahta hu, per jo mile woh mere usulo to todkar, toh haan main door jaana chahta hu...